Kuch mithi batein
Ek daur tha jab log samjh nahi ate the
ek vakt tha log samjh nahi pate the
Bada muskil hota hai , tut kar bikhar kar
fir se sambhl jana ,
logo ke haste chehre dekh kar bhi Na ghabrana
Muskil rahon me bhi uhi muskurate hue chalte jana ,
Kadak dopahar ki dhoop me chhav milne par bhi na ruk jana bus lakshay par najr tikaye rakna
Aur age padhte jana .
Dikhenge hajar chere , har chehre ko dekh ke muskurana
Par kisi ki muskurahat par khud ke sapne ko na bhool Jana.
Bus o musafir tu uhi chalte jana
Mile jo bhi rah me use sathi banana
Ho sake to badh himmat use bhi uski manjil ki rah dikhna
E saurbh tu apni pahchan logo ko uhi batana
Mere musafir tu chalte jana
Muskil hai lekin na mumkin nahi
Kathin hai par har jana nahi
Mohabbat me pad kar
apni Manjil bhool Jana nahi
Kuch vakt boora hai isse dar
Kar har jana nahi
Chal tu .........
Rah me hajar dilkash najare aye ,
Kisi par najar thahrana nahi
O mere musafira Manjil bhool Jana nahi.
...sVs...
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें